Ab manzil hi nahi koi ,

Ab manzil hi nahi koi , to raaho ka kya karu ?
Jo nadi sukh jaaye , Un kinaro ka kya karu ?
Main samandar hu , jharne ki tarah bah nahi sakta
Sikh sakta hu bahna , magar toofano ka kya karu ?
Kabra bana di he, haqiqat ko qatal karke..
Lash to kho gayi magar.... Rooh ka kya karu ...???

1 Comments

Previous Post Next Post