Ik Dost Aap Jaisa…



Doston Ki Bheed Mein Dikhta Hai Ik Dost Aap Jaisa,
Lakhon Sitaron Mein Ik Sitara Dharuv…. Hoobhoo Vaisa,
Apke Sahare Kadam Uthte hain Dewane “Dhanwant” Ke
Aapki Duaon Ka Saath Hai To Dil Mein Phir Dar Kaisa

Har kadampe imtihan leti hai zindagi,
Har wakt naye sadme deti hai zindagi.
Hum zindagi se shikwa kaise kare,
Aap jaisa dost bhi to deti hai zindagi…

Tammana se nahi tanhai se darte hai, 
Pyaar se nahi ruswai se darte hai, 
Milne ki to bohat chahat hai, 
par Milne ke baad judaai se darte hai.

Dosti mein duriyaan to aati jaati rehti hain,
Fir bhi dosti dilon ko milati rehti hain,
Woh dost hi kya jo naaraz na ho,
Par sachchhi dosti doston ko manaati rehti hain!!!

Dost hazar nahi sirf ek chahiye,
Sukh-dukh mein de saath woh yaar chahiye,
Hum kisi ko bhulate nahi,
Lekin jo yaad rakhe hume woh yaar chahiye.

Zindgi ka koi ehsas itna pyara na hota
Agar apki yaado ka sahara na hota
Hum khud ko khushnasib kahe nahi pate
Agar aap sa dost hamara na hota

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga

Tanhaiyo me aksar waqt barbad kiya karte hai,
Hum bhi har pal apko yaad kiya karte hai,
Hum nahi jante gharwale batate hai,
Hum to nendo me bhi apka naam liya krte hai.

Kisi ke dil mein basna bura to nahi
Kisi ko dil mein basana khata to nahi
Hain ye zamane ki nazar me bura to kiay hua
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi

Dosti achchi ho toh rang laati hai
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai
Par agar dosti apne jaisi ho, Toh itihaas banaati hai

Jaam pe Jaam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi,
Arey do boond dosti ke pi le, 
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi.

Dost ko bhulana galat hai,
Unhi ka zindagi bhar saath hai,
Agar bhul gaye to khali haath hai,
Aur agar saath rahe to zamana kahega: KYA BAAT HAI!

Us din khuda ne bhi jasn manaya hoga,
Jis din fursat se apko banaya hoga,
Ankho se uske bhi nikle honge ansu,
Jab tumko yaha bhejkar khud ko akela paya hoga.

1 Comments

  1. I read thiѕ pοst comρlеtelу оn the tοpіc
    of the сοmρаrison of hottеst
    anԁ ρreсеding tесhnologies, it's
    awеsome article.

    Havе a looκ at mу weblog as ()

    ReplyDelete
Previous Post Next Post