Islamic baatein


Abu hurairah (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) se ek shaksh bole
Ya Rasool-Allah (sallallhu alaihe wasallam) mere kuch Rishte wale hain main unse Ehsaan karta hun aur wo burai karte hain main Rishta (nata) milata hun aur wo todte hain main bardbaari (achcha suluk) karta hun aur wo jahalat karte hain  

Aap (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki agar  haqeeqat mein tu aisa hi karta hai to tu unke munh par jalti raakh (ash) dalta hai aur hamesha Allah ki taraf se tere saath ek farishta rahega jo tumko un par ghalib rakhega jab tak tu is haalat par rahega. 

(Sahih Muslim , Vol 6, 6525)

Post a Comment

Previous Post Next Post