Gila aap se nahi koi.....


Gila aap se nahi koi,
Gila hum apni majbooriyon se karte hain.
Aap aaj hamare karib naa sahi.....
Mohabbat to hum aapki dooriyon se bhi karte hain.
-----------------------------------------

Har Kadam pe imtihan leti hai zindagi,
Har waqt pe naye sadme deti hai zindagi,
Hum zindagi se shikwa kaise kare….
Jab aap jaise dost deti hai zindagi
-----------------------------------------

Zindagi mein naye log hardum milenge,
Kaheen jyada to kaheen kam milenge,
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahin har jagah tumhein ‘HUM’ milenge
-----------------------------------------

humse door jaoge kaise,
dil se hume bhulaoge kaise,
hum vo khushboo hain, jo saason me baste hain,
khud ki saason ko rok paoge kaise. .......
-----------------------------------------

Log samajthe hain keh humne tumhe bhula rakha hain,
Ye nahin jante ke kahin dil mein chupa rakha hain
Dekh na le koi meri aankho mein tasvir tumhari,
Humne apni palko ko is qadar jhuka rakha hain….
-----------------------------------------

Phir chupke se yaad aa gaya koi,
meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,
kaise uska shukria aada Karen,
mujh naachiz ko “shayar“ bana gaya koi.
-----------------------------------------
Ajmaish pyar jaroori hoti hai
Na mil pana kisi ki majburi hoti hai
yaad apko door se kar to sakten hai
lakin dil ki hasrat to mulkat se hi puri hoti hai

Post a Comment

Previous Post Next Post