Dua sms


• Dua Maangne Ka Tarika
========================
Dua bhi ek ibadat hai, aur Allah se duniya aur akherat ki bhalai ki
dua karte rahna chahiye. Wese to dua kese bhi maangi jaaye, Allah
sunta hai lekin dua ke kuch khaas tarika hai, dua usi tarike se
maangne ki koshish karna chahiye.

1. Paak-Saaf hokar bawazu Qibla ki taraf muh karke Dua Mangna.
2. Dono hath sine k Samne Rakhna.
3. Dono hatho ke beech thodi duri hona.
4. Nazre Apne haatho ki taraf hona.
5. Dil se aur dhyan laga kar dua karna.
6. Dil me ye yaqeen rkhna k Inshaallah Hamari dua zaroor Qabool hogi.
7. Dono per mod kar bethna jese namaz ke time kaida (attahiyaat) ke
time bethte hain.
8. Dua k pahle aur baad mein Allah ki taarif karna aur darud sharif padhna.
9. Dua ke baad dono hath chahre per Phairna.

Agar dua mein zyada asar daalna hai to Allah se ro-ro kar dua
maangiye, rona nahi aata ho to rone jesa muh banaiye. Aur agar sajda
ki haalt mein jaakar Allah se dua ki jaaye to aur bhi zyada behtar hai
kyonki sajda ki haalat mein insan Allah ke sabse kareeb hota hai. Dua
ke baad Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka waseela bhi diya
ja sakta hai.

Allah hamari duaon mein asar paida kar de.
Aameen.

Post a Comment

Previous Post Next Post