50 HEART TOUCHING SHAYARIS

50. Sukun apne dilka maine kho diya, Khud ko tanhai ke samandar mei dubo diya, Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah, Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya… 

49. Naraaz hona aapse galti kehlayengi, Aap hue naraaz toh yeh saase tham jayengi, Aap haste rahe uhi zindagi bhar, Aapki hasi se hamari zindagi sawar jayengi… 

48. Zindagi lehar ti aap sahil hue, Na jaane kaise hum aapki dosti k qabil hue, Na bhulenge hum us haseen pal ko, Jab aap hamari choti si zindagi mei shamil hue…

 47. Tamanna karte ho jin khushiyon ki, Dua hai woh khushiya aapke kadmo mei ho, Khuda aapko woh sab haqiqat mei de, Jo kuch aapke sapno mei ho …

 46. Humse pucho kya hota hai pal pal bitana, Bahut mushkil hota hai dil ko samjana, Yaar zindagi toh beet jayegi, Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana…

 45. Na dil mei basakar bhulaya karte hai, Na hasakar rulaya karte hai, Kabhi mehsoos kar k dekh lena, Hum jaise toh dil se rishte nibhaya karte hai…

 44. Pyar kya hota hai hum nahi jante, Zindagi ko hum apna nahi mante, Gum itne mile ke ehsaas nahi hota, Koi humei pyar kare ab vishwas nahi hota… 

43. Khush nasib hote hai badal, Jo dur rehkar bhi zameen par baraste hai, Aur ek badnasib hum hai, Jo ek hi duniya mei rehkar bhi, Milne ko taraste hai… 

42. Gum mei hasne walo ko rulaya nahi jata, Lehron ko pani se milaya nahi jata, Hone wale khud hi apne ho jate hai, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata…

 41. Tere mere rishte ko kya naam du, Yeh naam du ya woh naam du, Is duniya ki bhid mei naam ho jate hai badnaam, Kyun na apne rishte ko benaam hi rehne du…

 40. Zindagi milti hai himmat walo ko, Khushi milti hai taqdir wale ko, Pyar milta hai dilwalo ko, Aur aap jaisa DOST milta hai, Hum jaisa nasib wale ko… 

39. Log kehte hai tum kyun apni mohabbat ka izhaar unse nahi karte ? Maine kaha- jo lafzo mei bayan ho jaye, sirf utna pyar hum unse nahi karte…. 

38. Kashish toh bahut hai mere pyar mei, Lekin koi hai pathar dil jo pigalta nahi, Agar mile khuda to mangungi usko, Suna hai khuda marne se pehli milte nahi… 

37. Phir vahi din hoga, phir vahi raat hogi, lekin na jaane phir kab mulakat hogi, magar karte rehna sms tabhi to dil se dil ke baat hogi… 

36. Dost teri dosti pe naaz karte hai, Har waqt milne ki fariyaad karte hai, Hamei nahi pata, gharwale batate hai, Ke hum neend mei bhi aapse baat karte hai… 

35. Hichkiya kyon mujhe aane lagi hai, Fizaon se bhi siskiya aane lagi hai, Yeh sochkar dil hai bahut khush, Ki yaad meri bhi kisi ko aane lagi hai.. 

34. Na jane saloon baad kaisa sama hoga, Hum sab doston mei se kaun kaha hoga, Phir agar milna hoga to milenge khwabo mei, Jaise sukhe gulab milte hai kitabo mei… 

33. Aaj har ek pal khoobsurath hai, Dil mei sirf teri surath hai, Kuch bhi kahe yeh duniya gum nahi, Duniya se zyada humko teri dosti ki zarurath hai…

 32. Faasle milta kar aapas mei pyar rakhna, Dosti ka rishta yun hi barkar rakhna, Malum hai dost bahut hai aapke, Par unke beech apni iss parchayee ka khayal rakhna… 

31. Dhadkan hamari tumse jo kahe, Sanso ko bhi uski khabar na lage, Bahut khubsurat hai yeh dosti ka rishta hamara, Dua hai iss se kisiki nazar na lage… 

30. Chahte hai hum aapko kithna yeh bataye kaise, Dosti aapki aapse chupaye kaise, Asmaan se bhi unchi hai apni dosti, Is chote se SMS mei aapko samjaye kaise… 

29. Mil jate hai kitno ko khushi, Mit jate hai kitno ke gum, Message isliye bhejte hai hum, Taki na milne se bhi apni dosti na ho kam…

 28. Kyun aapki khamoshi mujhe khamosh kar jati hai, Kyun aapki udaashi mujhe udash kar jati hai, Kya rishta hai mera aur aapka, Jo har pal aapki yaad aa jati hai… 

27. Gujarish hamari woh maan na sake, Majburi hamari woh jaan na sake, Kehte hai marne k baad bhi yaad rakhenge, Jeete ji jo hamei pehchan na sake… 

26. Kabhi hasa dete ho, kabhi rula dete ho, Kabhi kabhi neend se jaga dete ho, Magar jab bhi dil se yaad karte ho, Kasam se zindagi ka ek pal badha dete ho… 


25. Nazaron ko nazare ki kami nahi hoti, Baharo ko phool ki kami nahi hoti, Aap hamei kyun yaad karenge aap toh asman hai, Aur asman ko sitaro ki kami nahi hoti…

 24. Saari duniya ki muskan tere paas hai, Yeh zamin aur asman tere paas hai, Gam na karna ki tujhe yaad nahi karte, Aye dost meri toh jaan tere paas hai… 

23. Tum banke dost aise aaye zindagi mei, Ke hum yeh zamana hi bhul gaye, Tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi, Par hum toh tere bagair jeena hi bhul gaye… 

22. Ek jasie dost sare nahi hote, Kuch hamare ho kar hamare nahi hote, Aap se dosti karne ke baad mehsus hua, Kaun kehta hai “taare zamin par” nahi hote…


21. Takdir ne chaha, Takdir ne bataya, Takdir ne aapko aur humko milaya, Khushnasib the hum ya woh pal, Jab aap jaisa anmol dost hamari zindagi mei aaye… 

20. Rulana har kisi ko aata hai, Hasana kisi kisi ko aata hai, Rula ke jo mana le who sacha yaar hai, Aur jo rula ke khud bhi aansu bahaye, Woh sacha pyar hai………. 

19. Ek din jab hum duniya se chale jayenge, Math sochna aapko bhul jayenge, Bas ek baar aasman ki taraf dhekh lena, Mere aansoo barish banke baras jayenge…. 

18. Khamosh raat ki pehhlu mein sitare na hote, In rookhi aankhon mein rangeen najare naa hote, Hum bhi na karte parwa aap ki, Agar aap itne pyare na hote… 

17. Tazi hawa mei phulo ki mahak ho, Pehli kiran mei chidiyo ki chahk ho, Jab bhi kholo aap apni palke, Un palko mei bus khushiyo ki zalak ho… 

16. Taqdir likhne wale ek ehsan karde, Mere dost ki taqdir mei ek aur muskan likhde, Na mile kabi dard unko, Tu chahe to uski kismet mei meri jaan likhde…

 15. Hum kabhi apno se khafa ho nahi sakte, Pyar ke rishte bewafa ho nahi sakte, Aap bhale hamei bhulke so jao, Hum aapko yaad kiye bina reh nahi sakte… 

14. Humse pucho kya hota hai pal pal bitana, Bahut mushkil hota hai dil ko samjana, Yaar zindagi tih beet jayengi, Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana… 

13. Mushkilon mei jeena nahi chahate, Door tumse ho kar ab rehna nahi chahate, Yun toh dost bahut bane is zindagi mei par, Aap jasie dost ko khona nahi chahate… 

12. Yaaadon mei hamari woh bhi khoye honge, Khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge, Mana hasna hai aada gam chupane ki, Par haste haste kabhi woh bhi roye honge…

 11. Chandse jab mulakat hoti hai, Aap logon k baare mei baat hoti hai, Woh kahte hai mere paas khubsurat sitare hai, Hum kahte hai unse bhi khubsurat pyaar hamara hai… 

10. Shaam ki tanhai mei kho jana, Kisi ki masti mei doob na jana, Milengi zarur kal manzil tumhei, Apni manzil ko pakar is jaan kobhul na jana… 

9. Jis din band kar li humne ankhe, Kai ankho se us din aansu barsenge, Jo kehte hai k bahut tang karte hai hum, Wahi hamari ek shararat ko tarsenge… 

8. Koshish toh kijiye humse yaad karne ki, Lamhe toh apne aap hi mil jayenge, Tamana toh kijiye humse milne ki, Bahane toh apne aap hi mil jayenge….

 7. Mat pucho humse ki tumhe kitna yaad kiya karte hai, Aapke SMS k intezaar mei hi jiya karte hai, Agar na aye kabhi msg tumhare toh, Purana hi pad k muskura liya karte hai… 

6. Sabke chehre mei woh baat nahi hoti, Thode se andhere mei raat nahi hoti, Zindagi mei kuch log bahut pyare hote hai, Kya kare unhi se aaj kal mulakat nahi hoti…

 5. Chote se dil mei arman koi rakhna, Duniya ki bhid mei pehchan koi rakhna, Achhe nahi lagte jab rehte ho udas, Apne hoto pe sada muskaan wahi rakhna… 

4. Hawaonke bina fiza mei surur na hota, Chandani ko bhi chand ke bina gurur na hota, Aap jaisa dost agar na hota toh, Dil bhi SMS karne ko majbur na hota…

 3. Hum chand hai to tum uski roshni ho, Hum phool hai toh tum uski khushbu ho, Chodenge na kabhi saath tera kyunki, Hum dost hai toh tum dosti ki mehak ho…

 2. Rishta banaya hai toh nibhayenge, Har pal aapko hasayenge – satayenge, Pata hai aapko toh fursat nahi hai yaad karne ki, Hum hi msg kar kar ke apni yaad dilayenge… 

1. Kisi k deedar mei tadapta hai yeh dil, Kisi k intezar mei tarasta hai yeh dil, Kya kamaal ka hai yeh dil, Khud apna ho kar bhi kisi aur ke liye dhadakta hai yeh dil…

Post a Comment

Previous Post Next Post