No title


Aaj Fir


Aaj Fir Wo Izhar Karke Inkar Kar Gaye
Fir Khamosh Nazron Se Var Kar Gaye
Jab Poochi Mehfil Main Dil Todne Ki Wajah
Majboori Ka Aasra Dekar Sharmsar Kar Gaye

Har Pal Tassavvur Tera Hota Hai


Har Pal Tassavvur Tera Hota Hai
Har Nazar Par Ishq Ka Pehra Hota Hai
Jab-Jab Toot Ta Hai Dil Mera
To Har Bar Ki Tarah Naam Tera Hota Hai

Hamne Bhi Pyar Dekar Sanam Se


Hamne Bhi Pyar Dekar Sanam Se Pyar Manga Tha
100 Bar Nahi Bas Ek Bar Iqrar Manga Tha
Jab Giri Bijli Inqar Ki Hum Par Uske To Fir Se
Khud Ki Numaish K Liye Gham Ka Darbar Manga Tha

Ye Aur Baat Hai


Ye Aur Baat Hai K Wo Dushman Hua Aaj Magar
Wo Mera Dost Tha Kal Tak,Use Bura Na Kaho
Najane Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Hai
Wo Sath Chor Gaya To Use Bewafa Na Kaho

Auro Ko To Kya


Hasino Ne Hasin Bankar Gunah Kiya
Auro Ko To Kya Humko Bhi Tabah Kiya
Pesh Kiya JAb Gazlon Mein Unki Bewafai Ko
Auro Ne To Kya Unhone Bhi Wah Wah Kiya

Wafa Dil Ko


Wafa Ka Naam Na Liya Karoo
Wafa Dil Ko Dokhati Hai
Wafa Ka Naam Laytay Hee
Ek Bewafa Ki Yaad Ati Hai

Post a Comment

Previous Post Next Post